Random thoughts- Poetry

Maa Jane dou mujhe:



Jaane dou maa mujhe...

Mai woh nahi jou samajhti hou tum,
Mai woh sitaara nahi jise dhondti hou tum,
Mai woh moh nahi jiska ehsas rakhti hou tum.

Jaane dou maa mujhe...

Shayad is baar ye zindigi meri nahi hai,
Shayad is baar ye jahan mera nahi hai,
Shayad is baar gumnammi ka mere pass koi hal nahi hai.

Ab jaane dou maa mujhe...

Maloum hai tumhe mujhse ummedein bahut hai,
Maloum hai tumhe mujhse lagaav bahut hai,
Par maloum ye bhi hai ki, tumhe mujhse nirashayein bahut hai.

Bas ab jaane dou maa mujhe...

Maaf karna mai koi farz nibha na saki,
Maaf karna mai tumhare kaam aa na saki,
Maaf karna mai tumhe khuch lota nahi saki.

Isliye bas ab jaane dou maa mujhe...

Yaad rakhna ismai kasoor tumhara nahi tha,
Nakaami tou meri thi,
Kamjoori tou meri thi,
Hairaani tou meri thi,
Khaami tou meri thi.

Isliye bas ab jaane bhi dou maa mujhe...

Gair log sunayengai tumhe meri wajah se,
Yaadein shayad satayengi tumhe meri wajah se,
Kammiyan shayad rulayengi tumhe meri wajah se,

Lekin maa tum hoslla mat harna,
Tum mat thakna,
Meri zindigi kou tum jeena,

Isliye ab jaane dou maa mujhe.....

-Anonymous

Comments

Popular posts from this blog

Abhi From Hyderabad

NewseNse Quiz1